Parveen Umm-e-Mushtaq

bahut hi saf-o-shaffaf aa gaya taqdir se kaghaz

Parveen Umm-e-Mushtaq

1944
bahut hī sāf-o-shaffāf aa gayā taqdīr se kāġhaz
tumhāre vāste laayā huuñ maiñ kashmīr se kāġhaz
huā hai abru-e-jānāñ se dil-e-betāb sad-pāra
muqābil ho nahīñ saktā dam-e-shamshīr se kāġhaz
agar lohe ke gumbad meñ rakheñge aqrabā un ko
vahīñ pahuñchā.egā āshiq kisī tadbīr se kāġhaz
mirī qismat likhī jaatī thī jis din maiñ agar hotā
uḌā hī letā dast-e-kātib-e-taqdīr se kāġhaz
bhalā saada varaq par likhtā kyā rañgīñ-mizājoñ ko
munaqqash kar liyā thā pahle hī taqdīr se kāġhaz
kuchh us ḳhushbū kī had bhī hai mo.attar ho gayā bilkul
mire hāthoñ meñ vasf-e-gesū-e-shabgīr se kāġhaz
adū kā ḳhat hai yā ta.avīz hai jo yuuñ hai siine par
ye kyuuñ rakkhā gayā hai izzat-o-tauqīr se kāġhaz
ḳhat-e-taqdīr se behtar maiñ samjhūñ is ko duniyā meñ
tū likhvā laa.e gar qāsid but-e-be-pīr se kāġhaz
batā zālim mire qāsid ne terā kyā bigāḌā thā
jo le kar phaaḌ Daalā dast-e-be-taqsīr se kāġhaz
mire haath aa gayā 'parvīñ' adū ke naam kā ḳhat thā
girā thā rah meñ jo dast-e-but-e-be-pīr se kāġhaz
Top Urdushayar.com