Parveen Umm-e-Mushtaq

na aaya kar ke wada wasl ka iqrar tha kya tha

Parveen Umm-e-Mushtaq

1944
na aayā kar ke va.ada vasl kā iqrār thā kyā thā
kisī ke bas meñ thā majbūr thā lāchār thā kyā thā
burā ho bad-gumānī kā vo naama ġhair kā samjhā
hamāre haath meñ to parcha-e-aḳhbār thā kyā thā
sadā sunte hī goyā murdanī sī chhā ga.ī mujh par
ye shor-e-sūr thā yā vasl kā inkār thā kyā thā
ḳhudā kā dost hai ta.amīr-e-dil jo shaḳhs kartā ho
ḳhalīlullāh bhī ka.aba kā ik me.amār thā kyā thā
na aa.e tum na aao maiñ ne kyā kuchh minnateñ kī thiiñ
tumhīñ ne ḳhud kiyā thā ahd ye iqrār thā kyā thā
havā meñ jab uḌā parda to ik bijlī sī kaundī thī
ḳhudā jaane tumhārā partav-e-ruḳhsār thā kyā thā
milā tū ham se mahfil meñ jo shab ko ġhair kyuuñ bigḌā
tirā hākim thā Thekā-dār thā muḳhtār thā kyā thā
mirī mayyat pe mātam karte ho allāh-re chālākī
ḳhabar hai ḳhud tumheñ muddat se maiñ bīmār thā kyā thā
hazāroñ hasrateñ betāb thiiñ bāhar nikalne ko
vo sote meñ bhī 'parvīñ' fitna-e-bedār thā kyā thā
Top Urdushayar.com