dil pukārā phañs ke kū-e-yār meñ
rok rakkhā hai mujhe gulzār meñ
farq kyā maqtal meñ aur gulzār meñ
Dhaal meñ haiñ phuul phal talvār meñ
lutf duniyā meñ nahīñ takrār meñ
lekin un ke bosa-e-ruḳhsār meñ
thā jo shab ko sāya-e-ruḳhsār meñ
tāzgī kitnī hai baasī haar meñ
fart-e-māyūsī ne murda hasrateñ
dafn kar dī haiñ dil-e-bīmār meñ
shaad ho jaatī hai duniyā ai ruupe
kyā karāmat hai tirī jhankār meñ
ātish-e-ulfat kī dhaḌkan baḌh ga.ī
gir paḌā dil shola-e-ruḳhsār meñ
aah ke qabze meñ hai tāsīr yā
teġh hai dast-e-alam-bardār meñ
nashtar-e-mizhgāñ kī tezī ke sabab
ek kāñTā hai dil-e-pur-ḳhār meñ
āb-e-paikāñ paas hai lekin nasīb
phir bhī ḳhushkī hai lab-e-sofār meñ
ḳhair ho 'parvīñ' dil-e-muztar mirā
le chalā phir kūcha-e-dildār meñ