Parveen Umm-e-Mushtaq

kuchh tabiat aaj-kal pata hun ghabrai hui

Parveen Umm-e-Mushtaq

1944
kuchh tabī.at āj-kal paatā huuñ ghabrā.ī huī
shahr bhar meñ hai udāsī har taraf chhā.ī huī
hā.e-re ġhārat-gar-e-sabr-o-shakebā.ī huī
vo tirī tirchhī nazar vo aañkh sharmā.ī huī
ai sabā chaltī hai kyuuñ is darja itrā.ī huī
kyā nahīñ hai tū vahī us gul kī Thukrā.ī huī
vasl meñ achchhī tarah jab bāda-paimā.ī huī
uḌ ga.ī kāfūr ban ban kar hayā aa.ī huī
shab ko jab abrū-o-mizhgāñ kī saf-ārā.ī huī
shoḳhiyoñ meñ dab ga.ī sharm-o-hayā aa.ī huī
haa.e merī be-qarārī aur un kā iztirāb
aur chalte vaqt kī bāteñ vo ghabrā.ī huī
qabr tak pahuñchā ga.e saare azīz-o-aqribā
aage aage phir rafīq-e-rāh tanhā.ī huī
haañ tumhīñ par jaan detā huuñ tumhīñ par huuñ nisār
haañ tumhīñ par hai tabī.at TuuT kar aa.ī huī
TukḌe TukḌe haiñ jigar ke shīsha-e-dil chūr-chūr
ye qayāmat hai tumhārī chaal kī Dhaa.ī huī
jis meñ tāqat hai na harakat hai na ḳhvāhish hai na jaañ
dil nahīñ ik laash hai siine meñ dafnā.ī huī
baiThte hī baiThte mahfil meñ be-ḳhud ho gayā
dekhte hī dekhte ruḳhsat tavānā.ī huī
ḳhuub rone do ki ye roke se ruk saktā nahīñ
mere dil par hai abhī ġham kī ghaTā chhā.ī huī
ābdīda ho ke vo aapas meñ kahnā alvidā.a
us kī kam merī sivā āvāz bharrā.ī huī
minnateñ kartā huuñ dar-guzro ḳhudārā baḳhsh do
ab to nādānī huī yā mujh se dānā.ī huī
shikva-e-va.ada-ḳhilāfī kā milā achchhā javāb
peshgī rakkhī thī ik ummīd bar aa.ī huī
huur par merī tabī.at aa.e kyā maqdūr hai
tauba tauba ye bhī terī tarah harjā.ī huī
ḳhud hī socho dekhne vāloñ kā is meñ kyā qusūr
jab tamāshā tum hue ḳhilqat tamāshā.ī huī
rote rote Thahr jaatā huuñ tirī sar kī qasam
yaad aa jaatī hai jab vo baat samjhā.ī huī
de ke dil ġhusse meñ vāpas un ko pachhtānā paḌā
kyā raqam jaatī rahī hai haath se aa.ī huī
ḳhush-nasībī us jagah kī tū jahāñ rakkhe qadam
rail bhī phirtī hai station par itrā.ī huī
jab kahā us ne ki martā huuñ to kosā is tarah
tujh ko aa.e yā-ilāhī ġhair kī aa.ī huī
rabt baḌhne par khulā kartā hai kuchh achchhā burā
is se kiyā hotā hai gar rasmī shanāsā.ī huī
ishq-bāzī aur shai hai fisq hai kuchh aur chiiz
nek-nāmī ko na kah 'parvīñ' ki rusvā.ī huī
Top Urdushayar.com