Parveen Umm-e-Mushtaq

mujhko kya faeda gar koi raha mere baad

Parveen Umm-e-Mushtaq

1944
mujh ko kyā fā.eda gar koī rahā mere ba.ad
saarī maḳhlūq balā se ho fanā mere ba.ad
mar chukā maiñ to nahīñ us se mujhe kuchh hāsil
barse gar paanī kī jā āb-e-baqā mere ba.ad
chāhne vāloñ kā kartā hai zamāna mātam
mātamī rañg meñ hai zulf-e-rasā mere ba.ad
ro.eñge mujh ko mire dost sab aaTh aaTh aañsū
barsegī qabr pe ghanghor ghaTā mere ba.ad
yuuñ hī khiltī raheñgī sehn-e-chaman meñ kaliyāñ
yūñhī chaltī rahegī bād-e-sabā mere ba.ad
jaan dene ko na un par koī tayyār huā
goyā jāñ-bāz zamāne meñ na thā mere ba.ad
haath se un ke Tapakte nahīñ mai ke qatre
ashk-e-ḳhūñ rotā hai ye rañg-e-hinā mere ba.ad
hashr tak koī na rokegā sitam-gāroñ ko
jo ḳhudā pahle thā vo hī hai ḳhudā mere ba.ad
jīte-jī dete the jo gāliyāñ mujh ko 'parvīñ'
maġhfirat ke liye karte haiñ duā mere ba.ad
Top Urdushayar.com