pahlū-o-pusht-o-sīna-o-ruḳhsār aa.ina
hai razm-gāh-e-husn kā ye chaar aa.ina
kaf aa.ina bar aa.ina ruḳhsār aa.ina
hai sar se paañv tak vo sitamgār aa.ina
haTtā nahīñ jo sāmne se us ke raat din
ham se sivā hai tālib-e-dīdār aa.ina
ye to mirā raqīb hai maiñ māntā nahīñ
kyuuñ dekhtā hai aap ko har baar aa.ina
ruḳh kā hai aks dil meñ to ruḳh meñ hai dil kā aks
hai aa.ine ke sāmne har baar aa.ina
ḳhalvat meñ us ke nuur se aalam hai tuur kā
haiñ āb-o-tāb se dar-o-dīvār aa.ina
ġhash khā ke gir paḌe na kahīñ ro.ab-e-husn se
is vāste hai pusht ba-dīvār aa.ina
kis meñ hai āb-o-tāb sivā dekh lījiye
ik baar us kā chehra aur ik baar aa.ina
ruḳh kā aur us kā ho gayā ik baar faisla
achchhā huā ki maan gayā haar aa.ina
labrez hai shuā-e-ruḳh-e-dil-faroz se
le āb-e-husn-e-sāġhar-e-sarshār aa.ina
'parvīñ' jahāñ meñ us kī jhapaktī nahīñ palak
hairat kā aap kartā hai iqrār aa.ina