Parveen Umm-e-Mushtaq

jis tarah do-jahan mein KHuda ka nahin sharik

Parveen Umm-e-Mushtaq

1944
jis tarah do-jahāñ meñ ḳhudā kā nahīñ sharīk
tere jamāl meñ nahīñ koī hasīñ sharīk
maiñ bhī tirā fidā.ī huuñ mujh pe bhī rahm khā
jab tak hai is gumān meñ kuchh kuchh yaqīñ sharīk
us ke sitam hī kam haiñ jo auroñ kā naam luuñ
hai āsmāñ sharīk na is meñ zamīñ sharīk
roz-e-jazā ummīd hai sab ko sazā mile
iqdām-e-qatl meñ haiñ mire sab hasīñ sharīk
ai badr terā da.avā-e-yaktā.ī sab ġhalat
jumla sifāt meñ hai tire vo jabīñ sharīk
sach pūchhiye to jān-e-jahāñ mere qatl meñ
tirchhī nazar ke saath hī chīn-e-jabīñ sharīk
vaa.iz tū bāġh-e-husn kī ik baar sair kar
mumkin hai dilkashī meñ ho ḳhuld-e-barīñ sharīk
kyā vaj.h tere zulm-o-sitam meñ mazā nahīñ
ai daur-e-charḳh aaj vo shāyad nahīñ sharīk
bhejā payām-e-jalsa to andāz se kahā
arsa huā ki ham nahīñ hote kahīñ sharīk
'parvīñ' ġhalat hai un ko samajhnā judā judā
haiñ jism-o-jāñ kī tarah se duniyā-o-dīñ sharīk
Top Urdushayar.com