bahut se zamīñ meñ dabā.e ga.e haiñ
bahut un ke āshiq jalā.e ga.e haiñ
hamesha se āshiq satā.e ga.e haiñ
hameñ kyā na.e yaañ jalā.e ga.e haiñ
añdherā na hone diyā vasl kī shab
vo sham.oñ pe sham.eñ jalā.e ga.e haiñ
nahīñ be-sabab un ko mujh se rukāvaT
bahut hī sikhā.e paḌhā.e ga.e haiñ
nahīñ vasl kī in se farmā.ish āsāñ
bahut muñh bigāḌe banā.e ga.e haiñ
adāoñ ke nāmoñ ke ġhamzoñ ke mujh par
bahut chor pahre biThā.e ga.e haiñ
nigāhoñ kī chhuriyāñ adāoñ ke ḳhanjar
bahut mere dil par lagā.e ga.e haiñ
laḌāyā hai shah de ke logoñ ne ham ko
bahut roz naqshe jamā.e ga.e haiñ
maiñ nālāñ na thā tere jaur-o-jafā se
zamāne ke dil kyuuñ dukhā.e ga.e haiñ
dil-o-dīda do ghar haiñ tashrīf laa.eñ
sañvāre ga.e haiñ sajā.e ga.e haiñ
ye duniyā hai is meñ hamesha se insāñ
bigāḌe ga.e haiñ banā.e ga.e haiñ
banī-ādam a.azā-e-yak-dīgar-añd
ki miTTī se ham tum banā.e ga.e haiñ
zamīñ se hī aa.e zamīñ hī meñ jaanā
isī se bigāḌe banā.e ga.e haiñ
hamīñ par nahīñ zulm duniyā meñ 'parvīñ'
bahut log yaañ āzmā.e ga.e haiñ