mutakabbir na ho zardār baḌī mushkil hai
sab hai āsān ye sarkār baḌī mushkil hai
kufr par ḳhalq hai tayyār baḌī mushkil hai
diin bilkul nahīñ darkār baḌī mushkil hai
kaise TeḌhā na chale maar baḌī mushkil hai
sīdhī ho zulf-e-girah-dār baḌī mushkil hai
aur hoñge vo koī daam meñ aane vaale
murġh-e-dānā ho giraftār baḌī mushkil hai
dil hai ġhamnāk to kaunain hai mātam-ḳhāna
rote haiñ sab dar-o-dīvār baḌī mushkil hai
log kahte haiñ ki dil us ko na denā lekin
ba.ad iqrār kai inkār baḌī mushkil hai
sho.ala-e-husn-e-butāñ phūñk na de aalam ko
surḳh haiñ phuul se ruḳhsār baḌī mushkil hai
in dinoñ hazrat-e-yūsuf kī vo nā-qadrī hai
nahīñ buḌhiyā bhī ḳharīdār burī mushkil hai
mil ke rahnā hī nahiñ jāntā yaañ ab koī
jān-o-dil meñ bhī hai takrār baḌī mushkil hai
na taraddud kā mazā hai na sukūñ kī lazzat
kabhī va.ada kabhī inkār baḌī mushkil hai
tālib-e-sulh huuñ maiñ aur nazar tālib-e-jañg
raat din laḌne pe tayyār baḌī mushkil hai
haa.e duniyā meñ kisī meñ nahīñ itnī bhī vafā
jitnā kuttā hai vafādār baḌī mushkil hai
aaj tum teġh-ba-kaf ho to safā-chaT maidāñ
kaun marne pe ho tayyār baḌī mushkil hai
jins-e-dil bechne kī ham ko zarūrat 'parvīñ'
aur ma.adūm ḳharīdār baḌī mushkil hai