ḳhudā ke fazl se ham haq pe haiñ bātil se kyā nisbat
hameñ tum se ta.alluq hai mah-e-kāmil se kyā nisbat
mah-e-kan.āñ ko mere is mah-e-kāmil se kyā nisbat
zuleḳhā ke mulavvis dil ko mere dil se kyā nisbat
hama kā ram zi-ḳhud-kāmī ba-badnāmī kashīd āḳhir
kabhī maiñ ne na sochā raaz ko mahfil se kyā nisbat
kahe jaatā hai jo vaa.iz sune jaate haiñ ham lekin
jo ahl-e-dil nahīñ us ko hamāre dil se kyā nisbat
mujhe hai sadma-e-hijrāñ adū ko saikḌoñ ḳhushiyāñ
mire ujḌe hue ghar ko bharī mahfil se kyā nisbat
ḳhudā hī phir bharosa hai ḳhudā hai nāḳhudā merā
vagarna maiñ bhañvar meñ huuñ mujhe sāhil se kyā nisbat
firāq-e-yār meñ merā dil-e-muztar na Thahregā
tumhīñ socho sukūñ ko tā.ir-e-bismil se kyā nisbat
kanīz-e-hazrat-e-mushkil-kushā huuñ dil se maiñ 'parvīñ'
ta.alluq mujh ko āsānī se hai mushkil se kyā nisbat