Parveen Umm-e-Mushtaq

kisi ki kisi ko mohabbat nahin hai

Parveen Umm-e-Mushtaq

1944
kisī kī kisī ko mohabbat nahīñ hai
abhī is kī duniyā ko lazzat nahīñ hai
agar tum ko milne kī fursat nahīñ hai
mujhe bhī ziyāda zarūrat nahīñ hai
bahut ḳhushnumā hai gulistān-e-ālam
magar sair karne kī fursat nahīñ hai
bahut se gharoñ meñ ḳhazāne haiñ madfūñ
nahīñ hai to ganj-e-qanā.at nahīñ hai
kahāñ tak na behosh-o-be-ḳhud karegī
mai-e-vasl hai koī sharbat nahīñ hai
ḳhayālāt meñ apne huuñ ġharq vaa.iz
mujhe kahne sunñe kī fursat nahīñ hai
dikhāte nahīñ sharm se rū-e-raushan
koī kāmyābī kī sūrat nahīñ hai
tazalzul meñ kis vāste hai zamāna
shab-e-hijr hai ye qayāmat nahīñ hai
kahāñ ai parī tū kahāñ hūr-e-jannat
tirī us kī aapas meñ nisbat nahīñ hai
mirī qumriyoñ ke sivā kaun insāñ
ye shamshād hai is kī qāmat nahīñ hai
vo uTThe to lākhoñ hī fitne uTheñge
vo qāmat bhī kam-az-qayāmat nahīñ hai
na kyuuñ dil lage yaañ vo hai aur ḳhalvat
ye huurā nahīñ hai ye jannat nahīñ hai
jafā.eñ na kiije na kiije na kiije
tahammul kī ab mujh ko tāqat nahīñ hai
talātum meñ masrūf hai qatra qatra
koī shai yahāñ be-haqīqat nahīñ hai
jahāñ tak bane tum se be-dād kar lo
agar aane vaalī qayāmat nahīñ hai
laraztā hai kyuuñ Dar se ai jism-e-lāġhar
ye dhaḌkā hai dil kā qayāmat nahīñ hai
hasīnoñ kī chāhat hasīnoñ kī ulfat
musībat bhī hai aur musībat nahīñ hai
tumheñ āshiq aur mujh ko ma.ashūq lākhoñ
yahāñ ādamiyyoñ kī qillat nahīñ hai
sambhal kar zarā nāz-o-aġhmāz kiije
hasīnoñ kī duniyā meñ qillat nahīñ hai
zamāne meñ hone ko sab kuchh hai 'parvīñ'
hameñ kyā umīd-e-shafā.at nahīñ hai
Top Urdushayar.com