Parveen Umm-e-Mushtaq

jo chaar aadamiyon mein gunah karte hain

Parveen Umm-e-Mushtaq

1944
jo chaar ādamiyoñ meñ gunāh karte haiñ
ḳhudā kī dī huī izzat tabāh karte haiñ
butoñ ke hote jo mah par nigāh karte haiñ
qasam ḳhudā kī baḌā hī gunāh karte haiñ
baḌā hī zulm ḳhudā kī panāh karte haiñ
ham aah aah to vo vaah vaah karte haiñ
vo bosa dete nahīñ gore gore gāloñ kā
tumheñ gavāh ham ai mahr-o-māh karte haiñ
buto tumhīñ pe fidā haiñ buto tumhīñ pe nisār
yaqīñ na ho to ḳhudā ko gavāh karte haiñ
kabhī vo dekhte haiñ apne teġh o baazū ko
kabhī vo ġhaiz se mujh par nigāh karte haiñ
majāl kyā hai jo luuñ naam apne qātil kā
tumhīñ pe log magar ishtibāh karte haiñ
ḳhayāl rakhte haiñ har vaqt dostī kā sharīf
isī tarah se hamesha nibāh karte haiñ
gunāh kyā hai jo dil se aziiz rakhte haiñ
bane ho yūsuf-e-sānī to chaah karte haiñ
agar ho sabr-o-qanā.at kī daulat ai 'parvīñ'
gadā bhī karte haiñ vo hī jo shaah karte haiñ
Top Urdushayar.com