mahfil meñ ġhair hī ko na har baar dekhnā
merī taraf bhī bhuul ke sarkār dekhnā
āġhāz-e-sabza se hai jo ruḳhsār par ġhubār
agle baras ise ḳhat-e-gulzār dekhnā
jab sarf-e-guftugū huuñ to dekhe unheñ koī
manzūr ho jo abr-e-guhar-bār dekhnā
maiñ ne kahā ki hijr meñ kuchh mashġhala nahīñ
bole ki raat din dar-o-dīvār dekhnā
kahtā huuñ jab maiñ un se banāv-siñghār ko
kahte haiñ koī aur trahdār dekhnā
maiñ jaan bhī dareġh karūñ to gunāhgār
mere sivā na aur ḳharīdār dekhnā
vo mujh se pūchhte haiñ ki kuchh aib to nahīñ
raftār dekhnā mirī guftār dekhnā
shaiḳh-e-zamāñ qadīm ravish ke buzurg haiñ
kitnā baḌā hai gumbad-e-dastār dekhnā
vo baar baar dekhte haiñ aa.ine meñ muñh
allāh un kā rū-e-pur-anvār dekhnā
chalte haiñ kū-e-yār meñ hai vaqt-e-imtihāñ
himmat na hārnā dil-e-bīmār dekhnā
hoshiyār phūñk phūñk ke rakhnā yahāñ qadam
'parvīñ' zarā zamāne kī raftār dekhnā