vaqt par aate haiñ na jaate haiñ
roz iqrār bhuul jaate haiñ
vo jo be-vaj.h muskurāte haiñ
saikḌoñ vahm dil meñ aate haiñ
ashk-e-hasrat nikal ke dāman meñ
jaan se haath dho.e aate haiñ
jab tum aate nahīñ ho va.ade par
malak-ul-maut ko bulāte haiñ
so gayā baḳht jab se ro ro kar
saare ham-sāyoñ ko jagāte haiñ
un ko sharm-o-hayā nahīñ aatī
dil churā kar nazar churāte haiñ
be-ḳhatā hai vo āsmāñ mujrim
is ko ilzām kyuuñ lagāte haiñ
jaan kar ban ga.e haiñ ham bhole
chuTkiyoñ meñ kise uḌāte haiñ
tere kūche meñ ham bhī ab thak kar
dil ke mānind baiThe jaate haiñ
ġhair kyā aur us kī hastī kyā
aap kyuuñ muft ḳhauf khāte haiñ
koī taaza sitam kiyā ījād
dekh kar vo jo muskurāte haiñ
aag paanī meñ kyuuñ lagāte ho
nek jo log haiñ bujhāte haiñ
tum mire dil meñ ho to dekhūñ maiñ
huur o ġhilmāñ kahīñ samāte haiñ
maiñ ne pūchhī jo vaj.h-e-qatl kahā
Thahro dam le ke ham batāte haiñ
ishq tere tufail duniyā ke
tanzeñ sunte haiñ ta.ane khāte haiñ
be-sabab kyā bigaḌne kā baa.is
aap 'parvīñ' ko bhī banāte haiñ