merī izzat baḌh ga.ī ik paan meñ
farq kyā aayā tumhārī shaan meñ
un ko dekhā to kahā yuuñ kaan meñ
kyuuñ ḳhalal Daalā mire īmān meñ
āshiqī hai bahar-e-nāpaidā-kanār
kashti-e-dil aa ga.ī tūfān meñ
hai yahī pahchān baalī umr kī
bāliyāñ vo do faqat haiñ kaan meñ
tere sadqe ke liye hāzir haiñ sab
dur samundar meñ javāhar kaan meñ
de ke dil us but ko apnā kar liyā
is tijārat meñ nahīñ nuqsān meñ
kyā mai-e-gul-gūñ se raunaq ghaT ga.ī
rañg balki aa gayā īmān meñ
us but-e-kāfir ko sajda kar liyā
is se kyā aayā ḳhalal īmān meñ
tum parī kā faḳhr ho hūroñ kā naaz
kaash hote firqa-e-insān meñ
us ke ruḳhsāroñ pe hai ḳhat kī numūd
hāshiya ye hai nayā qur.ān meñ
gesu-e-pechāñ tire ruḳhsār par
sūra-e-vallail hai qur.ān meñ
āriz-e-tābāñ pe hai ḳhat kī numūd
habshiyoñ kī fauj yā īrān meñ
kah do pesh aayā kare achchhī tarah
chal na jaa.e mujh meñ aur darbān meñ
vo kareñ zulm aur tum lab par na laao
varna gustāḳhī hai un kī shaan meñ
sunte sunte vā.izoñ se hajv-e-mai
zo.af sā kuchh aa gayā īmān meñ
yuuñ kahūñgā vuuñ kahūñgā thā ḳhayāl
rū-ba-rū kuchh bhī na aayā dhyān meñ
us kī qudrat se nahīñ 'parvīñ' ba.iid
raa.ī ko parbat banā de aan meñ