Parveen Umm-e-Mushtaq

dil ki chori mein jo chashm-e-surma-sa pakDi gai

Parveen Umm-e-Mushtaq

1944
dil kī chorī meñ jo chashm-e-surma-sā pakḌī ga.ī
vo thā chīn-e-zulf meñ ye be-ḳhatā pakḌī ga.ī
sub.h kū-e-yār meñ bād-e-sabā pakḌī ga.ī
ya.anī ġhībat meñ guloñ kī mubtalā pakḌī ga.ī
dil chaḌhā mushkil se tāq-e-abru-e-ḳhamdār par
sau jagah raste meñ jab zulf-e-rasā pakḌī ga.ī
jaan kar āñkheñ churā.īñ tū ne ham se bazm meñ
terī chorī dekh lī kyā bad-numā pakḌī ga.ī
hai isī meñ qalb-e-mahzūñ shartiya kahtā huuñ maiñ
khol muTThī terī chorī mah-laqā pakḌī ga.ī
mast ho kar us kī ḳhushbū se girā thā bach gayā
jab sambhalne ko vo zulf-e-mushk-sā pakḌī ga.ī
har taraf sehn-e-chaman meñ kahtī phirtī hai nasīm
gul se hañstī khilkhilātī motiyā pakḌī ga.ī
apne hāthoñ par liye phirte haiñ vo har dam halaf
aaḌ qasmoñ kī to mujh se bārhā pakḌī ga.ī
ruḳh se gul ko thā ta.alluq zulf se sumbul ko mel
ek jā gāñThā use ye ek jā pakḌī ga.ī
yaar hai ḳhanjar-ba-kaf aur jāñ-nisāroñ kā hujūm
haa.e ye kis jurm meñ ḳhalq-e-ḳhudā pakḌī ga.ī
aap hī kā aasrā hai aap kījegā madad
hashr meñ 'parvīñ' agar yā mustafā pakḌī ga.ī
Top Urdushayar.com