hazār sharm karo vasl meñ hazār lihāz
na nibhne degā dil-e-zār o be-qarār lihāz
na gudgudāo mujhe maiñ bhī tum ko chheḌūñgā
maiñ kar chukā huuñ tumhārā hazār baar lihāz
naqāb uThne kī jur.at kahīñ na kar baiThe
baḌhā.e kyuuñ dil-e-muztar kā iztirār lihāz
sharāb pī chuke be-chāre ko ijāzat do
khaḌā hai der se ruḳhsat ko ai nigār lihāz
maiñ mad.h-sanj huuñ dil se tire talavvun kā
na pā.edār hai ulfat na pā.edār lihāz
batāo to ye rahegā visāl meñ kab tak
hamāre haath ke badle gale kā haar lihāz
kareñ jo aap tajāhul to kyuuñ na samjhā.ūñ
kare huzūr kahāñ tak vafā-shi.ār lihāz
vo apne sar ko zarā bhī uThā nahīñ sakte
jhukī hui hai jo gardan to hai savār lihāz
jo un se pūchho to un ke ḳhilāf hai shoḳhī
jo ham se pūchho to ham ko hai nāgavār lihāz
takalluf uThte hī 'parvīñ' vo ḳhuub khul khele
huā hai shoḳhiyoñ se kitnā be-viqār lihāz