dekho to zarā ġhazab ḳhudā kā
zālim ne mujhī ko pahle taakā
allāh atā kare qanā.at
nusḳha vājib-ul-adā kā
dil detā huuñ muft aur koī
pursāñ nahīñ naqd-e-nāravā kā
vaañ mujh pe jafā.eñ ho rahī haiñ
yaañ vird hai lafz-e-marhabā kā
aanā ho to naza.a meñ huuñ aao
ye vaqt nahīñ hai iltavā kā
ab aa.e ho ban ke tum masīhā
jab vaqt guzar chukā davā kā
dāman meñ ravāñ haiñ ashk-e-gulgūñ
mahzar hai ye ḳhūn-e-mudda.ā kā
laayā to hai un ko jazb-e-ulfat
aayā to hai dhyān be-navā kā
maiñ ho hī chukā thā zinda dargor
tum aa ga.e shukr hai ḳhudā kā
duniyā se guzar chuke to 'parvīñ'
jhagḌā na rahā fanā baqā kā