maiñ chup kam rahā aur royā ziyāda
yaqīnan zamīñ kam hai dariyā ziyāda
shab-e-vasl murġh-e-sahar yaad rakhnā
zabāñ kaaT lūñgā jo royā ziyāda
maiñ nāzuk-mizājī se vāqif huuñ qāsid
isī vaj.h ḳhat meñ na likkhā ziyāda
do bose liye us ne do gāliyāñ diiñ
na lenā ziyāda na denā ziyāda
vo sair-e-chaman ke liye aa rahā hai
akaḌnā na shamshād itnā ziyāda
vo utnā hī bantā hai hirs-e-mujassam
ḳhudā jis ko detā hai jitnā ziyāda
amal par mujhe e'timād apne kam hai
ḳhudā ke karam par bharosa ziyāda
jo āñkheñ tire ḳhāk-e-dar se haiñ raushan
milāyā hai shāyad mamīrā ziyāda
mujhe ulfat-e-zulf jab se hai 'parvīñ'
batāte haiñ vo josh-e-saudā ziyāda