bahut din dars-e-ulfat meñ kaTe haiñ
mohabbat ke sabaq barsoñ raTe haiñ
junūñ meñ ho gayā hai ab ye darja
ki hai hālat radī kapḌe phaTe haiñ
haram se vāpsī par merī dāvat
huī mai-ḳhāne meñ mai-kash DaTe haiñ
bahut pīr-e-muġhāñ zī-hausla hai
sharāb-e-nāb ke sāġhar luTe haiñ
riyāz o zohd ke jitne the dhabbe
vo saare naqsh-e-bātil ab miTe haiñ
tabarruk the mirī tauba ke TukḌe
bajā.e naql mahfil meñ baTe haiñ
alam ke dard ke hasrat ke ġham ke
maze jitne haiñ saare chaTpaTe haiñ
nahīñ be-vaj.h vaa.iz ronī sūrat
ye hazrat aaj rindoñ meñ piTe haiñ
hue jārūb-kash us dar ke 'parvīñ'
ki saare gard miTTī meñ aTe haiñ