Parveen Umm-e-Mushtaq

poshak na tu pahniyo ai sarw-e-rawan surKH

Parveen Umm-e-Mushtaq

1944
poshāk na tū pahniyo ai sarv-e-ravāñ surḳh
ho jaa.e na partav se tire kaun-o-makāñ surḳh
yaañ bāda-e-ahmar ke chhalakte haiñ jo sāġhar
ai pīr-e-muġhāñ dekh ki hai saarī dukāñ surḳh
pī bāda-e-ahmar to ye kahne lagā gul-rū
maiñ surḳh huuñ tum surḳh zamīñ surḳh zamāñ surḳh
kyā paan kī surḳhī ne kiyā qatl kisī ko
shiddat se hai kyuuñ aaj tirī teġh-e-zabāñ surḳh
siine meñ dil-e-ġham-zada ḳhuuñ ho gayā shāyad
be-vaj.h bhī hote haiñ kahīñ ashk-e-ravāñ surḳh
kyā bhaḌke hai siine meñ mire ātish-e-furqat
jo aah ke ham-rāh nikaltā hai dhuāñ surḳh
ye qatl-e-ḳhizāñ par haiñ javānān-e-chaman shaad
har samt gul-o-lāla uḌāte haiñ nishāñ surḳh
gar merī shahādat kī bashārat nahīñ 'parvīñ'
phir kyuuñ hai ḳhat-e-shauq ke unvāñ ye nishāñ surḳh
Top Urdushayar.com