Parveen Umm-e-Mushtaq

khilaya partaw-e-ruKHsar ne kya gul samundar mein

Parveen Umm-e-Mushtaq

1944
khilāyā partav-e-ruḳhsār ne kyā gul samundar meñ
hubāb aa kar bane har samt se bulbul samundar meñ
hamāre āh-o-nāla se zamāna hai tah-o-bālā
kabhī hai shor sahrā meñ kabhī hai ġhul samundar meñ
kisī din mujh ko le Dūbegā hijr-e-yār kā sadma
charāġh-e-hastī-e-mauhūm hogā gul samundar meñ
na chheḌo mujh ko maiñ ġhavvās huuñ dariyā-e-ma.anī kā
na DhūñDo mujh ko mustaġhraq huuñ maiñ bilkul samundar meñ
tumheñ dariyā-e-ḳhūbī kah diyā ġharq-e-nadāmat huuñ
kahāñ ye nāz-o-ġhamza āriz-o-kākul samundar meñ
paḌā thā aks-e-rū-e-nāznīñ arsa huā us ko
par ab tak tairtā phirtā hai shakl-e-gul samundar meñ
uThī mauj-e-sabā jumbāñ se shāḳh-e-āshiyāñ paiham
chalī jaatī hai goyā kashtī-e-bulbul samundar meñ
vo pā.īñ baaġh meñ phirte haiñ maiñ fikroñ meñ Duubā huuñ
tamāshā hai ki gul gulshan meñ hai bulbul samundar meñ
abhī to sair ko jaanā lab-e-dariyā vo sīkhe haiñ
abhī to dekhiye khilte haiñ kyā kyā gul samundar meñ
ḳhayāl-e-yār kyūñ-kar aa gayā tūfān-e-girya meñ
ḳhudā ma.alūm kis shai kā banāyā pul samundar meñ
kabhī girya kā tūfāñ hai kabhī hairat kā sannāTā
kabhī bilkul huuñ sahrā meñ kabhī bilkul samundar meñ
vo zālim āshiq-āzārī kī 'parvīñ' mashq kartā hai
dikhā kar bulbuloñ ko Dāltā hai gul samundar meñ
Top Urdushayar.com