Parveen Umm-e-Mushtaq

zaban hai be-KHabar aur be-zaban dil

Parveen Umm-e-Mushtaq

1944
zabāñ hai be-ḳhabar aur be-zabāñ dil
kahe kis tarah se rāz-e-nihāñ dil
nahiñ duniyā ko dildārī kī aadat
sunā.e kis ko apnī dāstāñ dil
na pūchho be-Thikānoñ kā Thikānā
vahīñ ham bhī the sargardāñ jahāñ dil
kaTī hai zindagī sab rañj khāte
kahe kyā umar bhar kī dāstāñ dil
hameñ bhī thī kabhī milne kī lazzat
hamārā bhī kabhī thā naujavāñ dil
na baaz ā.ūñgā maiñ ulfat se jab tak
uThā.e jā.egā jaur-e-butāñ dil
ġham-e-ulfat ġham-e-duniyā ġham-e-dīñ
uThā.e baar kyā kyā nā-tavāñ dil
samajh meñ ḳhaak aa.e aql kī baat
ga.e hosh-o-ḳhirad aayā jahāñ dil
unheñ rahm aa.e to kyā aa.e 'parvīñ'
vo lā-parvā hai merā be-zabāñ dil
Top Urdushayar.com