phailā huā hai baaġh meñ har samt nūr-e-sub.h
bulbul ke chahchahoñ se hai zāhir surūr-e-sub.h
baiThe ho tum jo chehre se ulTe naqāb ko
phailā huā hai chaar taraf shab ko nūr-e-sub.h
bad-qismatoñ ko gar ho mayassar shab-e-visāl
sūraj ġhurūb hote hī zāhir ho nūr-e-sub.h
pau phaTte hī riyāz-e-jahāñ ḳhuld ban gayā
ġhilmān-e-mahr saath liye aa.ī hūr-e-sub.h
murġh-e-sahar adū na mo.azzin kī kuchh ḳhatā
'parvīñ' shab-e-visāl meñ sab hai futūr-e-sub.h