na.e ġhamze na.e andāz nazar aate haiñ
din-ba-din husn ke e.ajāz nazar aate haiñ
vo shahīd-e-nigah-e-nāz nazar aate haiñ
āj-kal aur hī andāz nazar aate haiñ
sar jhukā.e hue chaltā huuñ tire kūche meñ
kyūñki sar-bāz hī sar-bāz nazar aate haiñ
bahut ūñche na uḌe haiñ na uḌeñge gesū
ye kabūtar to girah-bāz nazar aate haiñ
jhuuT ḳhud bolnā ulTā mujhe jhūTā kahnā
sach hai dam-bāzoñ ko dam-bāz nazar aate haiñ
bhej to dī hai ġhazal dekhiye ḳhush hoñ ki na hoñ
kuchh khaTakte ho.e alfāz nazar aate haiñ
ġhamza-o-nāz-o-adā mehr-o-vafā jaur-o-jafā
sab ke sab ḳhāna-bar-andāz nazar aate haiñ
lutf aa.e jo shab-e-vasl mo.azzin so jaa.e
kyūñki vo gosh-bar-āvāz nazar aate haiñ
umar guzrī hamīñ sarkār pe marte marte
jaan dete haiñ to jāñ-bāz nazar aate haiñ
bulbuloñ se nahīñ gulzār-e-zamāna ḳhālī
shukr hai yaañ bhī ham-āvāz nazar aate haiñ
bad-gumānī bhī mohabbat kā nishāñ hai 'parvīñ'
ġhalatī ho to ho nārāz nazar aate haiñ