Parveen Umm-e-Mushtaq

main chup rahun to goya ranj-o-gham-e-nihan hun

Parveen Umm-e-Mushtaq

1944
maiñ chup rahūñ to goyā ranj-o-ġham-e-nihāñ huuñ
bolūñ to sar se pā tak hasrat kī dāstāñ huuñ
masrūr ho tū mujh se maiñ tujh se shādmāñ huuñ
tū merā mehmāñ ho maiñ terā mezbāñ huuñ
kahtī hai un kī mastī hosh aa.e to maiñ pūchhūñ
ai be-ḳhudī batā de is vaqt maiñ kahāñ huuñ
irshād par nazar hai ḳhāmosh huuñ ki goyā
chāho to be-zabāñ huuñ chāho to bā-zabāñ huuñ
jaañ ghul chukī hai ġham meñ ik tan hai vo bhī mohmal
ma.anī nahīñ haiñ bilkul mujh meñ agar bayāñ huuñ
maiñ huuñ junūñ ke hāthoñ maḳhlūq kā tamāsha
nā-mehrbāñ huuñ ḳhud par duniyā pe mehrbāñ huuñ
allāh-re us kī chaukhaT hai bosa-gāh-e-ālam
kahtā hai sañg-e-asvad maiñ sañg-e-āstāñ huuñ
kahtā hai merā naala lab tak maiñ aate aate
sau jā thamā huuñ rah meñ is darja nā-tavāñ huuñ
nafrat ho jis ko mujh se milne kā us se hāsil
nazroñ meñ kyuuñ subuk huuñ ḳhātir pe kyuuñ girāñ huuñ
muddat meñ tum mile ho kyuuñ zikr-e-ġhair aa.e
maiñ apne saa.e se bhī ḳhalvat meñ bad-gumāñ huuñ
chup rah gayā payāmī lekin ye ḳhair guzrī
ḳhat ne kahā ki suniye 'parvīñ' kī maiñ zabāñ huuñ
Top Urdushayar.com