baazī pe dil lagā hai koī dil-lagī nahīñ
ye bhī hai koī baat kabhī haañ kabhī nahīñ
jis ne kuchh ehtiyāt javānī meñ kī nahīñ
aql-e-salīm kahtī hai vo aadmī nahīñ
dil māñgo to javāb hai un kā abhī nahīñ
goyā abhī nahīñ kā hai matlab kabhī nahīñ
vaa.iz ko la.an-ta.an kī fursat hai kis tarah
puurī abhī ḳhudā kī taraf lau lagī nahīñ
āshiq par un kā ek zarā sā hai iltifāt
aur vo bhī is tarah ki kabhī hai kabhī nahīñ
jaisā ki aap chāhte haiñ shaḳhs pāk-o-sāf
aisā to shahr bhar meñ koī muttaqī nahīñ
tanhā jiye to ḳhaak jiye lutf kyā liyā
ai ḳhizr ye to zindagī meñ zindagī nahīñ
ham sab haiñ rāhgīr tasādum kā kyā sabab
duniyā hai shāhrāh kuchh aisī galī nahīñ
dil meñ nashāt aa.e to chehra ho tābnāk
jab tak janāb chāñd nahīñ chāñdnī nahīñ
'parvīñ' jalāo sham-e-amal gor ke liye
sūraj kā nuur chāñd ke vahāñ chāñdnī nahīñ