badlī huī hai charḳh kī raftār āj-kal
ho band rāst-goī kā bāzār āj-kal
ilm-o-hunar hai mulk ko darkār āj-kal
ham ḳhud bhale-bure ke haiñ muḳhtār āj-kal
hai aur hī tarīqa-e-bāzār āj-kal
jins-e-nafīs ke haiñ ḳharīdār āj-kal
ġhaflat kā daur mulk se shāyad guzar gayā
maḳhlūq hotī jaatī hai bedār āj-kal
gul-gūna-e-taraqqī-e-tahzīb-o-alam se
shukr-e-ḳhudā ki surḳh haiñ ruḳhsār āj-kal
kyuuñ jānte haiñ san.at-o-hirfat ko bāġh-e-ḳhuld
ġhairoñ kī ham nigāh meñ haiñ ḳhaar āj-kal
raushan hai apnī be-hunarī āftāb se
hai sub.h ke qarīb shab-e-tār āj-kal
bigḌī huī hai mai-kada-e-dahr kī havā
ho jaa.eñ shaiḳh-jī bhī na mai-ḳhvār āj-kal
kyā kaam in safed chuḌailoñ kā hind meñ
kyuuñ aisī shādiyoñ kī hai bhar-mār āj-kal
har chiiz kī girānī ne vīrān kar diyā
sarf-e-ḳhizāñ hai hind kā gulzār āj-kal
is baaġh meñ hai bād-e-ḳhizāñ o bād-e-qaht
har gul ke dil meñ hai ḳhalish-e-ḳhār āj-kal
bhūle haiñ apne farz ko ye ḳhvājgān-e-hind
haq dene meñ bhī karte haiñ inkār āj-kal
shukr-e-ḳhudā ki zulm se ma.azūr hai falak
bartāniya hai ḳhalq kī ġham-ḳhvār āj-kal
yārab hamāre dil ko tū apnī panāh de
dildār ho ga.e haiñ dil-āzār āj-kal
maḳhsūs ho chukī haiñ irādī ġhulāmiyāñ
hai ik anaar saikḌoñ bīmār āj-kal
ek ek kar ke jitne hunar the vo chhin ga.e
ham zindagī se kyuuñ na hoñ bezār āj-kal
ik jurm aur fard-e-jarā.em meñ baḌh gayā
ya.anī na dard-e-dil kā ho iz.hār āj-kal
jiine kī fikr kījiye aur peT kā ḳhayāl
mauqūf kiije ishq kā āzār āj-kal
pābandiyāñ bhī chāhiyeñ insān ko zarūr
āzādiyoñ kī kyuuñ hai ye bhar-mār āj-kal
miltā nahīñ kahīñ dahan-e-yār hai anaaj
fāqoñ se jism hai kamar-e-yār āj-kal
hai tañg-dastiyoñ ke sabab zo.af is qadar
sab kī haiñ āñkheñ nargis-e-bīmār āj-kal
lākhoñ muhāl aqlī o aadī sahī magar
kasb-e-ma.āsh sab se hai dushvār āj-kal
kyā kiije tar nivāloñ kā mausam nahīñ rahā
chipke hue haiñ yaar ke ruḳhsār āj-kal
fāqoñ se hai ye haal agar tol kar biThā.eñ
aadhe ticket meñ jaa.e tan-e-zār āj-kal
gul kar diyā charāġh-e-ma.īshat tū ai havā
me.ada ke bhī na ghis ga.e kyuuñ ḳhaar āj-kal
chāroñ taraf buland hai fariyād haa.e haa.e
mātam-kada hai qahqah-e-dīvār āj-kal
daulat jab aa.egī ki vahī chiiz ham banā.eñ
jo chiiz chāhte hoñ ḳharīdār āj-kal
behtar hai kār-ḳhānoñ se ho mulk kā bhalā
ugaleñ gaḌe ḳhazānoñ ko zardār āj-kal
san.at kā naam ganj hai hirfat kā naam zar
ilm-e-shikam hai mulk ko darkār āj-kal
'parvīñ' kī ye duā hai rahe amn mulk meñ
rabb-e-ġhafūr tū hī hai ġham-ḳhvār āj-kal