dekhūñ to kahāñ tak vo talattuf nahīñ kartā
aare se agar chīre to maiñ uf nahīñ kartā
tum dete ho taklīf mujhe hotī hai rāhat
sach jāniye maiñ is meñ takalluf nahīñ kartā
sab bāteñ unhīñ kī haiñ ye sach boliyo qāsid
kuchh apnī taraf se to tasarruf nahīñ kartā
sau ḳhauf kī ho jaa.e magar rind-e-nazar-bāz
dil jalva-gah-e-lānshaf-o-shuf nahīñ kartā
shoḳhī se kisī tarah se chain us ko nahīñ hai
aatā hai magar aa ke tavaqquf nahīñ kartā
us shoḳh-e-sitamgar se paḌā hai mujhe paalā
jo qatl kiye par bhī ta.assuf nahīñ kartā
jo kuchh hai anā meñ vo Tapaktā hai anā se
kuchh aap se maiñ zikr-e-tasavvuf nahīñ kartā
taskīn ho kyā vaade se māshūq hai āḳhir
har chand sunā hai ki taḳhalluf nahīñ kartā
kyā haal tumhārā hai hameñ bhī to batāo
be-vaj.h koī 'sheftā' uf uf nahīñ kartā