yaar ko mahrūm-e-tamāshā kiyā
marg-e-mufājāt ne ye kyā kiyā
aap jo hañste rahe shab bazm meñ
jaan ko dushman kī maiñ royā kiyā
arz-e-tamannā se rahā be-qarār
shab vo mujhe maiñ use chheḌā kiyā
sard huā dil vo hai ġhairoñ se garm
shole ne ulTā mujhe ThanDā kiyā
mehr-e-qamar kā hai ab un ko gumān
āh-e-falak-sair ne ye kyā kiyā
un ko mohabbat hī meñ shak paḌ gayā
Dar se jo shikva na adū kā kiyā
dekhiye ab kaun mile ḳhaak meñ
yaar ne gardūñ se kuchh iimā kiyā
hasrat-e-āġhosh hai kyuuñ ham-kanār
ġhair se kab us ne kinārā kiyā
chashm-e-ināyat se bachī jaañ mujhe
nargis-e-bīmār ne achchhā kiyā
ġhair hī ko chāheñge ab 'sheftā'
kuchh to hai jo yaar ne aisā kiyā