Shefta Mustafa Khan

jab raqibon ka sitam yaad aaya

Shefta Mustafa Khan

Delhi, India

1809-1869
jab raqīboñ kā sitam yaad aayā
kuchh tumhārā bhī karam yaad aayā
kab hameñ hājat-e-parhez paḌī
ġham na khāyā thā ki sam yaad aayā
na likhā ḳhat ki ḳhat-e-peshānī
mujh ko hañgām-e-raqam yaad aayā
shola-e-zaḳhm se ai said-fagan
dāġh-e-āhū-e-haram yaad aayā
Thahre kyā dil ki tirī shoḳhī se
iztirāb-e-pa-e-ham yaad aayā
ḳhūbi-e-baḳht ki paimān-e-adū
us ko hañgām-e-qasam yaad aayā
khul ga.ī ġhair se ulfat us kī
jām-e-mai se mujhe jam yaad aayā
vo mirā dil hai ki ḳhud-bīnoñ ko
dekh kar aa.ina kam yaad aayā
kis liye lutf kī bāteñ haiñ phir
kyā koī aur sitam yaad aayā
aise ḳhud-rafta ho ai 'sheftā' kyuuñ
kahīñ us shoḳh kā ram yaad aayā
Top Urdushayar.com