roz ḳhuuñ hote haiñ do-chār tire kūche meñ
ek hañgāma hai ai yaar tire kūche meñ
farsh-e-rah haiñ jo dil-afgār tire kūche meñ
ḳhaak ho raunaq-e-gulzār tire kūche meñ
sarfarosh aate haiñ ai yaar tire kūche meñ
garm hai maut kā bāzār tire kūche meñ
sher bas ab na kahūñgā ki koī paḌhtā thā
apne haalī mire ash.ār tire kūche meñ
na milā ham ko kabhī terī galī meñ ārām
na huā ham pe juz āzār tire kūche meñ
malak-ul-maut ke ghar kā thā irāda apnā
le gayā shauq-e-ġhalat-kār tire kūche meñ
tū hai aur ġhair ke ghar jalva-tarāzī kī havas
ham haiñ aur hasrat-e-dīdār tire kūche meñ
ham bhī vārasta-mizājī ke haiñ apnī qaa.il
ḳhuld meñ ruuh tan-e-zār tire kūche meñ
kyā tajāhul se ye kahtā hai kahāñ rahte ho
tire kūche meñ sitamgār tire kūche meñ
'sheftā' ek na aayā to na aayā kyā hai
roz aa rahte haiñ do-chār tire kūche meñ