asar-e-āh-e-dil-e-zār kī afvāheñ haiñ
ya.anī mujh par karam yaar kī afvāheñ haiñ
sharm ai nāla-e-dil ḳhāna-e-aġhyār meñ bhī
josh-e-afġhān-e-azā-bār kī afvāheñ haiñ
kab kiyā dil pe mire pand-o-nasīhat ne asar
nāseh-e-behūda-guftār kī afvāheñ haiñ
jins-e-dil ke vo ḳharīdār hue the kis din
ye yūñhī kūcha-o-bāzār kī afvāheñ haiñ
qais-o-farhād kā muñh? mujh se muqābil hoñge?
mardum-e-vādī-o-kohsār kī afvāheñ haiñ
ye bhī kuchh baat hai maiñ aur karūñ ġhair se baat
tum na maano ki ye aġhyār kī afvāheñ haiñ
kis tavaqqo pe ji.eñ 'shefta' māyūs karam
ġhair par bhī sitam yaar kī afvāheñ haiñ