Shefta Mustafa Khan

kuchh dard hai mutribon ki lai mein

Shefta Mustafa Khan

Delhi, India

1809-1869
kuchh dard hai mutriboñ kī lai meñ
kuchh aag bharī huī hai nai meñ
kuchh zahr ugal rahī hai bulbul
kuchh zahr milā huā hai mai meñ
bad-mast jahān ho rahā hai
hai yaar kī bū har ek shai meñ
hai mastī-e-nīm-ḳhām kā Dar
isrār hai jām-e-pai-ba-pai meñ
mai-ḳhāna-nashīñ qadam na rakkheñ
bazm-e-jam o bārgāh-e-kai meñ
ab tak zinda hai naam vaañ kā
guzrā hai husain ek ''hai'' meñ
hotī nahīñ tai hikāyat-e-''tai''
guzrā hai karīm ek ''tai'' meñ
kuchh 'shefta' ye ġhazal hai aafat
kuchh dard hai mutriboñ kī lai meñ
Top Urdushayar.com