kahūñ maiñ kyā ki kyā dard-e-nihāñ hai
tumhāre pūchhne hī se ayaañ hai
shikāyat kī bhī ab tāqat kahāñ hai
nigāh-e-hasrat āh-e-nā-tavāñ hai
nishān-e-pā-e-gair us āstāñ par
nahīñ hai mere marqad kā nishāñ hai
ajal ne kī hai kis dam mehrbānī
ki jab pahlū meñ vo nā-mehrbāñ hai
tujhe bhī mil gayā hai koī tujh sā
ab ā.īne se vo sohbat kahāñ hai
ye kis gul-rū kā aalam yaad aayā
dam-e-sard ik nasīm-e-bostāñ hai
huī betābi-e-bulbul mo.assir
ki ghabrāyā huā kuchh bāġhbāñ hai
sahar un ko irāda hai safar kā
qayāmat aane meñ shab darmiyāñ hai
koī yaañ laao us īsā-nafas ko
ki martā 'sheftā' naam ik javāñ hai