kaun se din tirī yaad ai but-e-saffāk nahīñ
kaun sī shab hai ki ḳhanjar se jigar chaak nahīñ
lutf-e-qātil meñ ta.ammul nahīñ par kyā kiije
sar-e-shorīda mirā qābil-e-fitrāk nahīñ
tujh par ai dilbar-e-ālam jo har ik martā hai
is liye marne se mere koī ġhamnāk nahīñ
dil huā paak to phir kaun nazar kartā hai
aur dil paak nahīñ hai to nazar paak nahīñ
ilm aur jahl meñ kuchh farq na ho kyā ma.anī
ham bhī bebāk haiñ par ġhair se bebāk nahīñ
qais ko fazl-e-taqaddum hai vagarna yaañ kyā
sar-e-shorīda nahīñ yā jigar-e-chāk nahīñ
mā-sivā allāh na rahe 'sheftā' hargiz dil meñ
khusravī kaaḳh sazā-e-ḳhas-o-ḳhāshāk nahīñ