Shefta Mustafa Khan

jo ku-e-dost ko jaun to pasban ke liye

Shefta Mustafa Khan

Delhi, India

1809-1869
jo kū-e-dost ko jā.ūñ to pāsbāñ ke liye
nahīñ hai ḳhvāb se behtar kuchh armuġhāñ ke liye
tamām illat-e-darmāñdagī hai qillat-e-shauq
tapish huī par-e-parvāz-e-murġh-e-jāñ ke liye
sharīk-e-bulbul-o-qumrī haiñ vo zabūñ-fitrat
jo be-qarār rahe sair-e-gulistāñ ke liye
umiid hai ki nibāheñge imtihāñ le kar
jo is qadar mutaqāzī haiñ imtihāñ ke liye
na ḳhākiyoñ se ta.alluq na qudsiyoñ se rabt
na ham zamīñ ke liye haiñ na āsmāñ ke liye
payām-e-dost huā qāsidoñ ko vaj.h-e-sharaf
nasīm-e-misr se izzat hai kārvāñ ke liye
qafas zamāna o jaañ murġh o āshiyāñ malakūt
qafas meñ murġh hai betāb āshiyāñ ke liye
fasāne yuuñ mohabbat ke sach haiñ par kuchh kuchh
baḌhā bhī dete haiñ ham zeb-e-dāstāñ ke liye
hamārī nazm meñ hai 'sheftā' vo kaifiyyat
ki kuchh rahī na haqīqat mai-e-muġhāñ ke liye
Top Urdushayar.com