Shefta Mustafa Khan

dil ka gila falak ki shikayat yahan nahin

Shefta Mustafa Khan

Delhi, India

1809-1869
dil kā gila falak kī shikāyat yahāñ nahīñ
vo mehrbāñ nahīñ to koī mehrbāñ nahīñ
ham aaj tak chhupāte haiñ yāroñ se rāz-e-ishq
hālāñki dushmanoñ se ye qissa nihāñ nahīñ
zebā nahīñ hai dost se karnā mo.āmla
kuchh varna naaz jaan ke badle girāñ nahīñ
ham zumra-e-raqīb meñ mil kar vahāñ ga.e
jab shauq rahnumā ho koī pāsbāñ nahīñ
āshufta misl-e-bād huuñ betāb misl-e-barq
kyūñkar muīn-e-charḳh tirī shoḳhiyāñ nahīñ
ham aap par nisār kareñ kā.enāt ko
par kyā kareñ bisāt meñ juz nīm-jāñ nahīñ
sāmān-e-vajd fitna-e-mahshar ko de diyā
vo ḳhaak par hamārī jo dāman-kashāñ nahīñ
kyuuñ haiñ nadīm-e-dost sifārish meñ ġhair kī
kyā ham ko un se rasm-o-rah-e-armuġhāñ nahīñ
ik hāl-e-ḳhush meñ bhuul ga.e kā.enāt ko
ab ham vahāñ haiñ mutrib o saaqī jahāñ nahīñ
kis kis pe rashk kījiye kis kis ko roiye
kis din vo jalva āfat-e-sad-ḳhānumāñ nahīñ
kyuuñ ye hujūm-e-shor-o-shaġhab hai nushūr meñ
aisā to 'sheftā' hameñ ḳhvāb-e-girāñ nahīñ
Top Urdushayar.com