Shefta Mustafa Khan

dast-e-adu se shab jo wo saghar liya kiye

Shefta Mustafa Khan

Delhi, India

1809-1869
dast-e-adū se shab jo vo sāġhar liyā kiye
kin hasratoñ se ḳhuun ham apnā piyā kiye
shukr-e-sitam ne aur bhī māyūs kar diyā
is baat kā vo ġhair se shikva kiyā kiye
kab dil ke chaak karne kī fursat hameñ milī
nāseh hamesha chāk-e-garebāñ siyā kiye
tashbīh dete haiñ lab-e-jāñ-baḳhsh-e-yār se
ham marte marte nām-e-masīhā liyā kiye
zikr-e-visāl-e-ġhair-o-shab-e-māh-o-bāda se
aise liye ga.e hameñ taane diyā kiye
thī lahza lahza hijr meñ ik marg-e-nau nasīb
har dam ḳhayāl-e-lab se tire ham jiyā kiye
tarz-e-suḳhan kahe vo musallam hai 'sheftā'
daave zabān se na kiye maiñ ne yā kiye
Top Urdushayar.com