Shefta Mustafa Khan

ishq ki mere jo shohrat ho gai

Shefta Mustafa Khan

Delhi, India

1809-1869
ishq kī mere jo shohrat ho ga.ī
yaar se mujh ko nadāmat ho ga.ī
ḳhaak arz-e-mudda.ā us se karūñ
jis ko bātoñ meñ kudūrat ho ga.ī
yaañ se jaane ko haiñ vo āchuk kahīñ
kyā balā ai abr-e-rahmat ho ga.ī
ab sitam aġhyār par karne lage
mere mar jaane se ibrat ho ga.ī
jalva-e-ma.anī nazar aane lagā
piite piite mai ye sūrat ho ga.ī
un kī bāteñ us ne bhī chhup kar sunīñ
aaj nāseh ko nasīhat ho ga.ī
man.a-e-vasl-e-ġhair par hañs kar kahā
baare ab tum ko bhī ġhairat ho ga.ī
bū-e-gul us gul kī bū ke rū-ba-rū
fil-haqīqat be-haqīqat ho ga.ī
bas na farmāte phiro ye 'sheftā'
go unheñ tum se mohabbat ho ga.ī
Top Urdushayar.com