Shefta Mustafa Khan

gah humse KHafa wo hain gahe un se KHafa hum

Shefta Mustafa Khan

Delhi, India

1809-1869
gah ham se ḳhafā vo haiñ gahe un se ḳhafā ham
muddat se isī tarah nibhī jaatī hai bāham
karte haiñ ġhalat yaar se iz.hār-e-vafā ham
sābit jo huā ishq kujā yaar kujā ham
kuchh nashsha-e-mai se nahīñ kam nashsha-e-naḳhvat
taqvā meñ bhī sahbā kā uThāte haiñ mazā ham
maujūd hai jo laao jo matlūb hai vo lo
mushtāq-e-vafā tum ho talabgār-e-jafā ham
ne tab.a pareshāñ thī na ḳhātir mutafarriq
vo din bhī ajab the ki ham aur aap the bāham
kyā karte haiñ kyā sunte haiñ kyā dekhte haiñ haa.e
us shoḳh ke jab kholte haiñ band-e-qabā ham
ye tarz-e-tarannum kahīñ zinhār na DhūñDo
ai 'shefta' yā murġh-e-chaman rakhte haiñ yā ham
Top Urdushayar.com