mahv huuñ maiñ jo us sitamgar kā
hai gila apne hāl-e-abtar kā
haal likhtā huuñ jān-e-muztar kā
rag-e-bismil hai taar mistar kā
aañkh phirne se terī mujh ko huā
gardish-e-dahr daur sāġhar kā
shola-rū yaar shola-rañg sharāb
kaam yaañ kyā hai dāman-e-tar kā
shauq ko aaj be-qarārī hai
aur vaada hai roz-e-mahshar kā
naqsh-e-tasḳhīr-e-ġhair ko us ne
ḳhuuñ liyā to mire kabūtar kā
merī nākāmī se falak ko husūl
kaam hai ye usī sitamgar kā
us ne āshiq likhā adū ko laqab
haa.e likkhā mire muqaddar kā
aap se lahza lahza jaate ho
'sheftā' hai ḳhayāl kis ghar kā