Shefta Mustafa Khan

tha ghair ka jo ranj-e-judai tamam shab

Shefta Mustafa Khan

Delhi, India

1809-1869
thā ġhair kā jo rañj-e-judā.ī tamām shab
niiñd un ko mere saath na aa.ī tamām shab
shikva mujhe na ho jo mukāfāt had se ho
vaañ sulh ek dam hai laḌā.ī tamām shab
ye Dar rahā ki sote na paa.eñ kahīñ mujhe
vaade kī raat niiñd na aa.ī tamām shab
sach to ye hai ki bol ga.e aksar ahl-e-shauq
bulbul ne kī jo nāla-sarā.ī tamām shab
dam bhar bhī umr khoī jo zikr-e-raqīb meñ
kaifiyat-e-visāl na paa.ī tamām shab
thoḌā sā mere haal pe farmā kar iltifāt
karte rahe vo apnī baḌā.ī tamām shab
vo aah taar o paud ho jis kā havā-e-zulf
kartī hai ambarī o sabā.ī tamām shab
vo sub.h jalva jalvagar-e-bāġh thā jo raat
murġh-e-sahar ne dhuum machā.ī tamām shab
afsāne se bigāḌ hai an-ban hai ḳhvāb se
hai fikr-e-vasl o zikr-e-judā.ī tamām shab
jis kī shamīm-e-zulf pe maiñ ġhash huuñ 'sheftā'
us ne shamīm-e-zulf suñghā.ī tamām shab
Top Urdushayar.com