maiñ vasl meñ bhī 'sheftā' hasrat-talab rahā
gustāḳhiyoñ meñ bhī mujhe pās-e-adab rahā
taġh.īr vaz.a kī hai ishāra vidā kā
yaanī jafā pe ḳhūgar-e-altāf kab rahā
maiñ rashk se chalā to kahā be-sabab chalā
is par jo rah gayā to kahā be-sabab rahā
dam bhar bhī ġhair par nigah-e-lutf kyuuñ hai ab
ik umr maiñ sitam-kash-e-chashm-e-ġhazab rahā
thā shab to aah meñ bhī asar jazb-e-dil meñ bhī
kyūñkar na aa.e 'sheftā' mujh ko ajab rahā