tañg thī jā ḳhātir-e-nāshād meñ
aap ko bhūle ham un kī yaad meñ
kyūñkar uThtā hai ḳhudā rañj-e-qafas
mar ga.e ham to kaf-e-saiyād meñ
vo jo haiñ tārīḳh se vāqif batā.eñ
farq bād-e-āh o bād-e-ād meñ
yaañ ummīd-e-qatl hī ne ḳhuuñ kiyā
rah ga.ī hasrat dil-e-jallād meñ
be-ta.alluq-pan bhī āḳhir qaid hai
qaid paa.ī ḳhātir-e-āzād meñ
ġhamza-e-shīrīñ hī kī daulat se thā
jo asar thā tesha-e-farhād meñ
kyuuñ ḳhabar pūchhī tirā bīmār haa.e
mar gayā shor-e-mubārakbād meñ
be-takalluf jī meñ jo aa.e karo
kyā dharā hai nāla-o-fariyād meñ
dhyān tujh ko ho na ho par 'sheftā'
raat din rahtā hai terī yaad meñ