Shefta Mustafa Khan

kab nigah uski ishwa-bar nahin

Shefta Mustafa Khan

Delhi, India

1809-1869
kab nigah us kī ishva-bār nahīñ
kab nigāheñ karishma-zār nahīñ
ġhair par rahm ye kise aayā
tum to maanā sitam-shi.ār nahīñ
yaañ fuġhāñ se lahū Tapaktā hai
maiñ navā-sanj-e-shāḳhsār nahīñ
kulfat-e-dil se hai jo ālūda
gauhar-e-ashk ābdār nahīñ
ham haiñ aise farāḳh-rū darvesh
mahfil-e-pādshah se aar nahīñ
na jalā ḳhāna-e-adū to na hañs
shola-e-āh hai sharār nahīñ
baaġh be-sarfa chal ke kyā kiije
jin se thī baaġh kī bahār nahīñ
baada behūda pī ke kyā kiije
ab vo saaqī nahīñ vo yaar nahīñ
ai munajjam abas ye nādānī
tū kuchh andāza-dān-e-kār nahīñ
tū ravish-yāb-e-mehr-o-māh ġhalat
tū adā-sanj-e-rozgār nahīñ
vāqif asrār-e-āsmānī se
juz harīfān-e-bāda-ḳhvār nahīñ
chaḌh ga.e haiñ kisī ke phir dam par
'sheftā' aaj be-qarār nahīñ
Top Urdushayar.com