Shefta Mustafa Khan

kam-fahm hain to kam hain pareshaniyon mein hum

Shefta Mustafa Khan

Delhi, India

1809-1869
kam-fahm haiñ to kam haiñ pareshāniyoñ meñ ham
dānā.iyoñ se achchhe haiñ nādāniyoñ meñ ham
shāyad raqīb Duub mareñ bahr-e-sharm meñ
Dūbeñge mauj-e-ashk kī tuġhyāniyoñ meñ ham
mohtāj-e-faiz-e-nāmiya kyuuñ hote is qadar
karte jo soch kuchh jigar-afshāniyoñ meñ ham
pahuñchā.ī ham ne mashq yahāñ tak ki ho ga.e
ustād-e-andalīb navā-ḳhvāniyoñ meñ ham
ġhairoñ ke saath aap bhī uThte haiñ bazm se
lo mezbān ban ga.e mehmāniyoñ meñ ham
jin jin ke tū mazār se guzrā vo jī uThe
baaqī rahe haiñ ek tire fāniyoñ meñ ham
gustāḳhiyoñ se ġhair kī un ko malāl hai
mash.hūr hote kaash adab-dāniyoñ meñ ham
dekhā jo zulf-e-yār ko taskīn ho ga.ī
yak-chand muztarib the pareshāniyoñ meñ ham
āñkhoñ se yuuñ ishāra-e-dushman na dekhte
hote na is qadar jo nigahbāniyoñ meñ ham
jo jaan kho ke paa.eñ to fauz-e-azīm hai
vo chiiz DhūñDte haiñ tan-āsāniyoñ meñ ham
pīr-e-muġhāñ ke faiz-e-tavajjoh se 'sheftā'
aksar sharāb piite haiñ rūhāniyoñ meñ ham
Top Urdushayar.com