Shefta Mustafa Khan

hai bad bala kisi ko gham-e-jawedan na ho

Shefta Mustafa Khan

Delhi, India

1809-1869
hai bad balā kisī ko ġham-e-jāvedāñ na ho
yā ham na hoñ jahāñ meñ ḳhudā yā jahāñ na ho
ā.īn-e-ahl-e-ishq kahāñ aur ham kahāñ
ai aah shola-bār na ho ḳhūñ-chakāñ na ho
fel-e-hakīm ain salāh o savāb hai
saaqī agar sharāb na de sargirāñ na ho
tadbīr tark-e-dushman-e-jāñ kī hai raat din
kis tarah phir mujhe gila-e-dostāñ na ho
kyā vo mata'a jis kī na ho koī ghaat meñ
Dartā huuñ maiñ jo duzd pas-e-kārvāñ na ho
jab tak faroġh-e-mai se na ho siina nūr-zār
hargiz harīf-e-mai-kada asrār-dāñ na ho
lāzim hai yaar bhī to ho betāb varna kyā
vo ishq hai ki ranj yahāñ ho vahāñ na ho
nāhaq vo jī jalāte haiñ saudā-e-ishq par
jin ko ye soch hai ki kuchh is meñ ziyāñ na ho
ham bū-e-dost tujh ko suñghā.eñge 'sheftā'
mahv-e-shamīm turra-e-ambar-fishāñ na ho
Top Urdushayar.com