soch kī lahroñ kā majma.a Thiik hai
zindagī kā mas.ala bārīk hai
ashk-rezī kī mujhe aadat nahīñ
ġham barā.e ġham mirī taz.hīk hai
ham ko phūloñ kī sanad mil jā.egī
ḳhushbuoñ kā madrasa nazdīk hai
mere zaḳhmoñ kī anā hai muḳhtalif
terī hamdardī kā marham bhiik hai
apnī koshish to chamaktī hai magar
kāmyābī kī galī tārīk hai
muskurāhaT ke ta.āqub meñ 'asar'
āñsuoñ kī dil-shikan tahrīk hai