Sajid Asar

dosto ke kaam aana jurm hai

Sajid Asar

dosto ke kaam aanā jurm hai
ḳhud ko dariyā-dil banānā jurm hai
ashk-rezī kī ijāzat hai magar
ehtijājan muskurānā jurm hai
munharif tārīkiyoñ ke saaz par
koī raushan giit gaanā jurm hai
jab numā.ish kī chamak ho nā-guzīr
apnī raunaq bhuul jaanā jurm hai
sar jhukānā achchhī aadat hai magar
tañg aa kar sar uThānā jurm hai
pattharoñ ke baaġh meñ sājid-'asar'
kāñch ke paude lagānā jurm hai
Top Urdushayar.com